Cifra Club

Kya Jaanoon Sajan

Kavita Krishnamurthy

Ainda não temos a cifra desta música.

Aa, aa
(Kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
Jal uthe sau diye jab liya tera naam) - 2
Kya jaanoon sajan
(Jab se mili nazar maathe pe ban gaye
Bindiya nayan tere, dekho sajna) - 2
Dhar li jo pyaar se meri kalaaiyaan
Piya teri ungliyaan ho gayi kangna
Kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
Jal uthe sau diye jab liya tera naam
Kya jaanoon sajan
(Kaanton mein main khadi nainon ke dwaar pe
Nis din bahaar ke dekhoon sapne) - 2
Chehre ki dhool kya chanda ki chaandni
Utri to reh gayi mukh pe apni
(Kya jaanoon sajan hoti hai kya gham ki shaam
Jal uthe sau diye jab liya tera naam) - 2
Kya jaanoon sajan, hm hm hm hm

Other videos of this song
    0 views

    Afinação da cifra

    Afinador online

    Ops (: Content available only in Portuguese.
    OK