Jaane Kyon, Khwabon Ka Mausam Hai

Veer Zaara

Jaane kyun, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon 
Mausam hai, aur main hoon 
Jaane kyun, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon 
Shabnam hai, aur main hoon 
Yaadein, laayi hain, khushiyaan bhi, aansoo bhi 
Jaane kyun, ik aisa sangam hai, aur main hoon 
Sangam hai, aur main hoon 

Barse jo rang itne saare, rangeen huwe sab nazaare -2 
Lekin mera dil kahin bhi, lagta nahin bin tumhaare 
Tumko, bas tumko, dil dhhoondhhe dil maange 
Jaane kyun, har lamha ye sitam hai, aur main hoon 
Ye sitam hai, aur main hoon 
Jaane kyun, khwaabon ka mausam hai, aur main hoon 
Mausam hai, aur main hoon.. 

Ye vaadi ab so gayi hai, kohre mein hi kho gayi hai -2 
Saari fiza saans roke, gumsum si ab ho gayi hai 
Saari, duniya mein, ab koyi nahin jaise 
Jaane kyun, bas mera hamdam hai, aur main hoon 
Hamdam hai, aur main hoon 
Jaane kyun, yaadon ki shabnam hai, aur main hoon 
Shabnam hai, aur main hoon 
Yaadein, laayi hain, khushiyaan bhi, aansoo bhi 
Jaane kyun, ik aisa sangam hai, aur main hoon 
Sangam hai, aur main hoon 
La la la, la la la la 
Hmm… hmm… hmm… aur main hoon
Page 1 / 1

Lyrics and title
Chords and artist

reset settings
OK