duniya se dil laga kar duniya se kya milega 
yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega 

daulat ho ya hukuumat, taaqat ho ya jawani 
har cheez mitne wali, har cheez aani-jaani 
ye sab gurur ek din mitti mein ja milega 
yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega 

aata nahi palat kar guzra hua zamana 
kya khwab ka bharosa, kya maut ka thikana 
ye zindagi ganva kar kya faayada milega 
yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega
    Page 1 / 1

    Lyrics and title
    Chords and artist

    reset settings
    OK