Nayi nahi hain, yeh baatein wahi Phir iss mod par hum mile hain Na jaane ab milenge hum kabhi Toh ruk jaao ek pal yahaan pe Yeh narm chaadron ki silwatein Tujhe abhi bula rahi hain Na jaao door inse, yeh kahein Yeh sukoon kahaan pe hai haasil? Dil ko mere yeh hai pata Ki meelon ka yeh faasla hai Alag aasmaan bhi hai toh kya? Yeh dil na maane Yeh gaadiyon ki aisi daud sa Tera bhi dil daudta hai Haan, jaa rahe ho door tum toh kya? Main hi toh dil ka musafir Toh ek baar phir tu hans ke zara Dekh le meri in aankhon mein Main qaid kar loon har woh pal tera Teri yeh baatein jo hain Toh aur kya hain yeh baatein, bata? Kyun ab din bhi dhalta nahi yeh na ho toh? Tum ude jaa rahe yeh aasmaan mein Khidkiyon se dekh tu pahaadon ko Yoon chhote se lage Hain kitne bade jo hon saamne Door jo hain khade Unhein bhi yeh humari zindagi Yoon titliyon si chhoti-chhoti si lage Hai kitni badi nahi jaante Khali ghar tera Yeh chaabiyon ki goonj aise Tujhe dara rahi, tu darna nahi Main hoon yahin par Ab alag aasmaan hai Aur hai zameen bhi kuch alag si Par miloge jab kabhi toh dekhna tabhi Main kuch alag nahi